Kaise samjhaun usko, Kaise samjhaun usko Samajh Mein Nahin Aata Kaise Samjhaun usko
Woh Aaj Bhi Mere Jahan Mein Hai, Phir Kaise Bhul jaaun usko Samajh Mein Nahin Aata
Kaise samjhaun usko
Badi Door Tak Najar Aati Hai uski tasvir , Tu Hi Bata Kaise dikhlaau Tujhko
Vah Bahar Nahin vah Andar hai
Kal Tak Jo Boond thi vah aaj samander hai
Par Karun to Kaise karun
Paar Karun to Kaise karun
Mujhse ab Kashti Ka Sahara liya Nahin Jata, Kaise samjhaun usko
Kaise samjhaun usko Samajh Mein Nahin Aata
Gujarta hun Jab Kabhi un band Galiyaron se
Barish si ho jati Hai un sukhe darakhton me
Gujre kal Mein Hi Sahi vah Aaj Bhi mere pass hai
Koi Tasveer Nahin..., bus woh to Ek Ehsas Hai
Kaise Ehsas karao usko.., Samajh Mein Nahin Aata
Kaise samjhaun usko Samajh Mein Nahin Aata
Kaise samjhaun usko......, Yatish.C
Comments
Post a Comment